Mard apne se badi umar ki aurat ki taraf zyada kyu rujhaan rakhta hai?
Ye aik qudrati baat hai jo kariban har mard mein dekhi jati hai, ke mard aksar apne se badi umar ki aurat ki taraf zyada kashish mehsoos karta hai. Ye koi ajeeb ya nayi baat nahi, balkeh aaj ke daur mein bohat common ho chuki hai. Sawal ye paida hota hai ke aakhir aisa kyu? Mard apne se badi umar ki aurat mein zyada interest kyu rakhta hai? Aur un aurton mein aisi kaun si baat hoti hai — chahe wo mard se sirf 2 ya 4 saal hi badi kyun na ho?
Ek taraf qanoon-e-muashra mein kanwari aur “bin asal paak” ladki se nikaah karna ek bari riwayat aur pasandida baat samjhi jati hai. Lekin phir bhi aam tor par mardon ka rujhaan badi umar ki aurat ki taraf paya jata hai. Is video ya blog ka maqsad bilkul bhi ghalat nahi, balkay un mardon ki psychology samajhna hai jo ghair sharai talluqaat mein phans chuke hote hain.
Paid Service Lene Wale Mard
Sabse pehle un mardon ka zikar jo paid service lete hain. Aise mard bohat dafa isi cheez ki khwahish rakhte hain ke unhe aik aisi aurat mile jo unki desire ko poora kar sake. Wo koi aisi larki nahi chahte hotay jo be-tajurba ho. Wo chahte hain ke jise wo choose karein, wo pur-tajurba ho aur unki har baat samajh jaye.
Isi tarah jo mard ghair aurat se affair chalate hain unki bhi aik hidden desire hoti hai ke unhe koi “aunty-type” aurat mile. Kyunke:
-
Unhe larki ke ghar walon ki tension nahi hoti.
-
Na security ka issue hota hai.
-
Aur na hi wo aurat mard ko shaadi ke liye majboor karti hai—jo aam tor par young larkiyan karti hain.
Is liye mard zyada tar shadi shuda, badi umar ki ya independent aurat ke sath affair rakhna behtar samajhte hain.
Bari Umar ki Aurat Ka Tajurba
Bari umar ki aurat ko manaana young larkiyon ke muqablay mein bohat aasaan hota hai. Thori si mehnat se wo razi ho jati hai. Aisi aurat tajurba rakhti hai, mard ko kaise khush rakhna hai usay andaza hota hai. Har qism ki position aur har qism ka scenario wo smooth tareeqe se handle kar leti hai.
Hamal ke mamlaat mein bhi wo bohat hoshiyar hoti hain. Agar khuda na khwasta hamal ठहर bhi jaye to wo usay sambhal leti hain. Ye sab baatein un mardon ke liye bohat attractive hoti hain jo ghair sharai talluqaat dhoondte hain — halaanke ye sab sakht gunaah hai, gunaah-e-kabira, jise har haal mein chor dena chahiye.
Shadi Mein Badi Umar Ki Aurat Ka Kirdaar
Agar baat shadi ki ki jaye, to kai mard apne se badi umar ki aurat se shadi karne ko tarjeeh dete hain. Aisi aurat:
-
Mature hoti hai
-
Tajurba rakhti hai
-
Mard ka behtar tareeqe se khayal rakh sakti hai
-
Ziadi demanding nahi hoti
-
Har baat par tanz ya pressure nahi deti
-
Mehngi shopping, jewellery aur make-up par zor nahi deti
Badi umar ki aurat apne tajurbe ki wajah se behtar mashware deti hai. Mard ko emotional aur practical dono tor par support karti hai. Aisi partner ki wajah se zindagi zyada pur-sukoon ho jati hai.
Conclusion
Aaj ka topic aam zindagi mein dekhe jane wale un rawayyoon ka nateeja hai jo log chup kar samajhte to hain, magar bayan nahi karte. Umar ka bara hona burhapa nahi hota — bus aik maturity aur tajurba hota hai jo bohat mardon ko pasand aata hai.
Umeed hai ke aaj ka blog aap sab ko pasand aaya hoga. Aakhir mein guzarish hai ke mera Facebook Page bhi like aur follow karein. Link mere profile aur video description mein mojood hai.




0 Comments